sab tire sivā kāfir āḳhir is kā matlab kyā
sar phirā de insāñ kā aisā ḳhabt-e-maz.hab kyā
ik ishāra-e-fardā ek jumbish-e-lab kyā
dekh dikhātā hai va.ada-e-tazabzab kyā
chullū-bhar meñ matvālī do hī ghūñT meñ ḳhālī
ye bharī javānī kyā jazba-e-labā-lab kyā
haañ duā.eñ letā jā gāliyāñ bhī detā jā
tāzgī to kuchh pahuñche chāhtā rahūñ lab kyā
shāmat aa ga.ī āḳhir kah gayā ḳhudā-lagtī
rāstī kā phal paatā banda-e-muqarrab kyā
ulTī-sīdhī suntā rah apnī kah to ulTī kah
saada hai tū kyā jaane bhāñpne kā hai Dhab kyā
sab jihād haiñ dil ke sab fasād haiñ dil ke
be-diloñ kā matlab kyā aur tark-e-matlab kyā
ho rahegā sajda bhī jab kisī kī yaad aa.ī
yaad jaane kab aa.e zinda-dārī-e-shab kyā
āñdhiyāñ rukeñ kyuuñ kar zalzale thamīñ kyuuñ kar
kārgāh-e-fitrat meñ pāsbānī-e-rab kyā
kār-e-marg kai din kā thoḌī der kā jhagḌā
dekhnā hai ye nādāñ jiine kā hai kartab kyā
paḌ chuke bahut paale Das chuke bahut kaale
mūziyoñ ke muuzī ko fikr-e-nīsh-e-aqrab kyā
mīrzā 'yagānā' vaah zindabād zindabād
ik balā-e-be-darmāñ kyā the tum aur ab kyā