Sardar Soz

dar-e-mai-kada hai khula hua sar-e-charKH aaj ghaTa bhi hai

Sardar Soz

Moradabad, Uttar pradesh, India

1934
dar-e-mai-kada hai khulā huā sar-e-charḳh aaj ghaTā bhī hai
chale daur-e-sāqī-e-dilrubā ki chaman meñ raqs-e-sabā bhī hai
ġham-e-zindagī sahī jāñ-gusil magar is se koī bachā bhī hai
yahī ġham hai rāz-e-nashāt-e-dil yahī zindagī kā mazā bhī hai
yahī zaḳhm-e-dil jo nasīb hai yahī soz-e-dil kā naqīb hai
ye mire ḳhulūs kā rañg hai kisī nāznīñ kī atā bhī hai
hai mirī nigāh meñ sirf tū kisī aur kī nahīñ justujū
tire iltifāt kī aarzū tirī be-ruḳhī kā gilā bhī hai
mujhe kyā uḌā.eñge bāl-o-par ki qafas meñ umr huī basar
maiñ rihā huā bhī kabhī agar to rihā.ī merī sazā bhī hai
mirī dāstāñ bhī ajiib hai ye kisī kisī kā nasīb hai
kahīñ zikr-e-bād-e-sumūm hai kahīñ zikr-e-mauj-e-sabā bhī hai
na tū uzv-e-jāh pe faḳhr kar ki ye zindagī to hai ik safar
tujhe kyā ḳhabar are be-ḳhabar dabe paañv pīchhe qazā bhī hai
jo bahār fasl-e-shabāb thī vo misāl-e-abr guzar ga.ī
nahīñ zindagī meñ koī ḳhushī ki ḳhilāf mere havā bhī hai
vo ba-zo.am-e-husn haiñ ḳhud-nigar to mujhe bhī naaz hai ishq par
maiñ niyāz-mand sahī magar mujhe 'soz' pās-e-anā bhī hai
Top Urdushayar.com