kaam dīvānoñ ko shahroñ se na bāzāroñ se
mast haiñ ālam-e-ījād ke nazzāroñ se
zulfeñ bal khātī haiñ yā jhūmtī hai kaalī ghaTā
bārish-e-nūr hai har sū tire ruḳhsāroñ se
vaañ naqāb uTThī yahāñ chāñdnī ne khet kiyā
kaT ga.ī zulmat-e-shab chāñd se ruḳhsāroñ se
dekhtā rah gayā ā.īna kisī kī sūrat
zulfeñ aTkheliyāñ kartī rahīñ ruḳhsāroñ se
dekheñ kis tarah basar hote haiñ ayyām-e-junūñ
yaañ to hai sāmnā har dam inhīñ ġham-ḳhvāroñ se
haath uljhā hai garebāñ meñ khaḌe dekhte haiñ
aur ummīd koī kyā kare ġham-ḳhvāroñ se
kashish-e-dasht-e-balā hubb-e-vatan dāman-gīr
aaj ghar chhuTtā hai pahle-pahal āvāroñ se
marte dam tak tirī talvār kā dam bharte rahe
haq adā ho na sakā phir bhī vafādāroñ se
be-dhaḌak pichhle pahar nāla-o-shevan na kareñ
kah de itnā to koī tāza-giraftāroñ se
mausam-e-gul nahīñ paiġhām-e-ajal thā sayyād
dekh ḳhālī hai qafas aaj giraftāroñ se
kyā burā haal hai añgḌā.iyāñ lete lete
sāqiyā naaz ab achchhā nahīñ mai-ḳhvāroñ se
kāñpte hāthoñ se sāġhar ko bachāyā to bahut
kyā kaheñ ḳhud hī na sambhlā gayā mai-ḳhvāroñ se
sar ko Takrā ke gayā hai koī sahrā kī taraf
ḳhuun sābit hai abhī shahr kī dīvāroñ se
eḌiyāñ vādi-e-ġhurbat meñ ragaḌte hī rahe
duur khiñchtī ga.ī manzil vatan-āvāroñ se
kaan meñ pichhle pahar aa.ī ik āvāz-e-hazīñ
ab to ġham-ḳhvār bhī diq haiñ tire bīmāroñ se
jhilmilāne lagā jab 'yās' charāġh-e-saharī
phir to Thahrā na gayā hijr ke bīmāroñ se