Yagana Changezi

qissa kitab-e-umr ka kya muKHtasar hua

Yagana Changezi

Patna, Bihar, India

1884-1956
qissa kitāb-e-umr kā kyā muḳhtasar huā
ruḳh dāstān-e-ġham kā idhar se udhar huā
mātam-sarā-e-dahr meñ kis kis ko roiye
ai vaa.e dard-e-dil na huā dard-e-sar huā
taskīn-e-dil ko rāz-e-ḳhudī pūchhtā hai kyā
kahne ko kah duuñ aur agar ulTā asar huā
āzād ho sakā na giraftār-e-shash-jahat
dil muft banda-e-havas-e-bāl-o-par huā
duniyā ke saath diin kī begār al-amāñ
insān aadmī na huā jānvar huā
fardā kā dhyān bāñdh ke kahtā hai mujh se dil
tū merī tarah kyuuñ na vasī-un-nazar huā
fardā ko duur hī se hamārā salām hai
dil apnā shaam hī se charāġh-e-sahar huā
Top Urdushayar.com