Yagana Changezi

maza gunah ka jab tha ki ba-wazu karte

Yagana Changezi

Patna, Bihar, India

1884-1956
maza gunāh kā jab thā ki bā-vazū karte
butoñ ko sajda bhī karte to qibla-rū karte
kabhī na parvarish-e-naḳhl-e-ārzū karte
numū se pahle jo andesha-e-numū karte
suneñ na dil se to phir kyā paḌī thī ḳhāroñ ko
ki gul ko mahram-e-anjām-e-rañg-o-bū karte
gunāh thā bhī to kaisā gunāh-be-lazzat
qafas meñ baiTh ke kyā yād-e-rañg-o-bū karte
bahāna chāhtī thī maut bas na thā apnā
ki mezbānī-e-mehmān-e-hīla-e-jū karte
dalīl-e-rāh dil-e-shab charāġh thā tanhā
buland-o-past meñ guzrī hai justujū karte
azal se jo kashish-e-markazī ke the pāband
havā kī tarah vo kyā sair chār-sū karte
falak ne bhūl-bhulayyoñ meñ Daal rakkhā thā
ham un ko DhūñDte yā apnī justujū karte
asīr-e-hāl na murdoñ meñ haiñ na zindoñ meñ
zabān kaTtī hai aapas meñ guftugū karte
panāh miltī na ummīd-e-be-vafā ko kahīñ
havas-nasīb agar tark-e-ārzū karte
Top Urdushayar.com