bargashta aur vo but-e-be-pīr ho na jaa.e
ulTī kahīñ duāoñ kī tāsīr ho na jaa.e
dil jal ke ḳhaak ho to phir iksīr ho na jaa.e
jāñ-soz hoñ jo naale to tāsīr ho na jaa.e
kis sādgī se mujrmoñ ne sar jhukā liyā
mahjūb kyuuñ vo mālik-e-taqdīr ho na jaa.e
dast-e-duā tak uTh na sake fart-e-sharm se
yārab kisī se aisī bhī taqsīr ho na jaa.e
mastoñ kī Thokar aur mirā sar hai sāqiyā
dushman kisī kā yuuñ falak-e-pīr ho na jaa.e
uThne hī ko hai beach se parda hijāb kā
mahfil tamām ālam-e-tasvīr ho na jaa.e
ġhaflat na kījiyo kabhī qātil kī yaad meñ
ai dil koī kamī tah-e-shamshīr ho na jaa.e
baiThā hai lau lagā.e koī teġh-e-nāz se
qātil kisī ke kaam meñ tāḳhīr ho na jaa.e
jaldī subū ko toḌ ke sāġhar banā le ab
saaqī is amr-e-ḳhair meñ tāḳhīr ho na jaa.e
nāloñ ne zor bāñdhā hai phir pichhlī raat se
ai charḳh chalte chalte koī tiir ho na jaa.e
dil se bahut shikāyateñ karte ho yaar kī
dekho qalam se kuchh kabhī tahrīr ho na jaa.e
sair-e-chaman se dil na lagāo chale chalo
fasl-e-bahār paañv kī zanjīr ho na jaa.e
anjām-kār par nahīñ kuchh iḳhtiyār 'yās'
taqdīr se ḳhajil mirī tadbīr ho na jaa.e