maut aa.ī aane dījiye parvā na kījiye
manzil hai ḳhatm sajda-e-shukrāna kījiye
zinhār tark-e-lazzat-e-īzā na kījiye
hargiz gunāh-e-ishq se tauba na kījiye
nā-āshnā-e-husn ko kyā e'tibār-e-ishq
andhoñ ke aage baiTh ke royā na kījiye
taaki ḳhabar bhī lā.iye sāhil ke shauq meñ
koshish ba-qadr-e-himmat-e-mardāna kījiye
vo din ga.e ki dil ko havas thī gunāh kī
yādash-ba-ḳhair zikr ab us kā na kījiye
sāvan meñ ḳhaak uḌtī hai dil hai ruñDhā huā
jī chāhtā hai girya-e-mastāna kījiye
dīvāna-vār dauḌ ke koī lipaT na jaa.e
āñkhoñ meñ āñkheñ Daal ke dekhā na kījiye