ḳhudā kī maar vo ayyām-e-shor-o-shar guzre
vo jin savār thā sar par ki sar se dar-guzre
halāl bhī mire haq meñ harām vāvailā
nigāh-e-shauq se kyā kyā gul-o-samar guzre
jo sabz-bāġh-e-tamannā pe pher de paanī
ḳhudā bachā.e ham aisī nazar se dar-guzre
nikāle aib meñ sau husn husn meñ sau aib
ḳhayāl hī to hai jaisā bañdhe jidhar guzre
zamīn paañv tale se nikal ga.ī to kyā
ham apnī dhun meñ zamāne se be-ḳhabar guzre
mazā na pochhiye vallāh dil dukhāne kā
kahāñ kā ḳhauf-e-ḳhudā Thaan lī to kar guzre
adab ke vāste kitnoñ ke dil dukhā.e haiñ
'yagānā' had se guzarnā na thā magar guzre