Yagana Changezi

shikwa-e-dard-e-jigar ai mehrban kyun kar karen

Yagana Changezi

Patna, Bihar, India

1884-1956
shikva-e-dard-e-jigar ai mehrbāñ kyuuñ kar kareñ
aap sun kyuuñ kar sakeñ aur ham bayāñ kyuuñ kar kareñ
apnī biitī phir sunā.eñge kabhī ai mehrbāñ
shab kī shab meñ ḳhatm saarī dāstāñ kyuuñ kar kareñ
saikḌoñ hī fitna-e-ḳhvābīda jaag uTTheñge phir
niiñd se chauñkā ke un ko sargirāñ kyuuñ kar kareñ
phir gayā talvār kā muñh tham ga.e bāzū-e-dost
kyuuñ ajal is kī talāfī saḳht-jāñ kyuuñ kar kareñ
aatī hai pichhle pahar bas dil dhaḌakne kī sadā
rāz-dārān-e-vafā āh-o-fuġhāñ kyuuñ kar kareñ
phāñdnā dīvār-e-jannat kā to āsāñ hai magar
aap ke dil meñ jagah ai mehrbāñ kyuuñ kar kareñ
inqilāb-e-dahr ne āñkhoñ ko andhā kar diyā
āḳhir ab nazzāra-e-fasl-e-ḳhizāñ kyuuñ kar kareñ
nā-tavānī kā burā ho aah kar sakte nahīñ
kyuuñ falak ab jazb-e-dil kā imtihāñ kyuuñ kar kareñ
is tilism-e-dahr meñ sar bhī uThā sakte nahīñ
kashmakash meñ sair-e-nairañg-e-jahāñ kyuuñ kar kareñ
sar paTakte haiñ abas naqsh-e-qadam par der se
ābla-pā justajū-e-kārvāñ kyuuñ kar kareñ
hosh meñ phir kaun thā jab dard kā sāġhar chalā
āḳhir-e-shab kī vo kaifiyyat bayāñ kyuuñ kar kareñ
haath phailāyā na jā.egā bharī mahfil meñ aaj
sabr kī daulat ko saaqī rā.egāñ kyuuñ kar kareñ
jhuum kar uThte haiñ lekin phir sambhal jaate haiñ mast
sāmnā saaqī kā hai gustāḳhiyāñ kyuuñ kar kareñ
phāḌe khātī hai hameñ ye malgajī poshāk meñ
jāma-e-tan kī batāo dhajjiyāñ kyuuñ kar kareñ
Top Urdushayar.com