Yagana Changezi

Thokaren khilwain kya-kya pa-e-be-zanjir ne

Yagana Changezi

Patna, Bihar, India

1884-1956
Thokareñ khilvā.īñ kyā-kyā pā-e-be-zanjīr ne
gardish-e-taqdīr ne jaulāni-e-tadbīr ne
ālam-e-asbāb se kyā faiz-e-nākāmī milā
raah par lā kar mujhe bhaTkā diyā taqdīr ne
kārvāñ kitne bagūle ban ke ġhā.eb ho ga.e
ḳhaak se yaksāñ kiyā jaulāñ-e-gah-e-tadbīr ne
baaz aa.e zindagī ke ḳhvāb-e-rañgā-rañg se
dast o pā gum kar diye andesha-e-tābīr ne
dād-ḳhvāhī ko uThā hai zarra-e-pāmāl tak
sote fitnoñ ko jagāyā hashr-e-ālam-gīr ne
mātam-e-hasrat kiyā pahle garebāñ phaaḌ kar
phir duā dī dushmanoñ ko dast-e-be-shamshīr ne
jaan de kar ek hukm-e-āḳhirī maanā to kyā
likh diyā jab sarkashoñ meñ kātib-e-taqdīr ne
vaah kyā kahnā mujassam kar diyā mauhūm ko
naqsh-bandān-e-azal kī shoḳhi-e-tahrīr ne
jam ga.ī gard-e-fanā aisī ki chhuTne kī nahīñ
kis ġhazab kā rañg pakḌā 'yās' kī tasvīr ne
Top Urdushayar.com