Yagana Changezi

charagh-e-zist bujha dil se ek dhuan nikla

Yagana Changezi

Patna, Bihar, India

1884-1956
charāġh-e-zīst bujhā dil se ik dhuāñ niklā
lagā ke aag mire ghar se mehmāñ niklā
dil apnā ḳhaak thā phir ḳhaak ko jalānā kyā
na koī sho.ala uThā aur na kuchh dhuāñ niklā
suneñge chheḌ ke afsāna-e-dil-e-marhūm
idhar se mulk-e-adam kā jo kārvāñ niklā
taḌap ke ābla-pā uTh khaḌe hue āḳhir
talāsh-e-yār meñ jab koī kārvāñ niklā
lahū lagā ke shahīdoñ meñ ho ga.e dāḳhil
havas to niklī magar hausla kahāñ niklā
harīm-e-nāz meñ shāyad kisī ko daḳhl nahīñ
dil aziiz bhī nā-ḳhvāñda mehmāñ niklā
nihāñ thā ḳhāna-e-dil meñ hī shāhid-e-maqsūd
jo be-nishāñ thā vo dīvār-e-darmiyāñ niklā
hai fann-e-ishq kā ustād bas dil-e-vahshī
marīz-e-ġham kā yahī ik mizāj-dāñ niklā
lagā hai dil ko ab anjām-kār kā khaTkā
bahār-e-gul se bhī ik pahlū-e-ḳhizāñ niklā
zamāna phir gayā chalne lagī havā ulTī
chaman ko aag lagā kar jo bāġhbāñ niklā
hamāre sabr kī khāte haiñ ab qasam aġhyār
jafā-kashī kā maza ba.ad-e-imtihāñ niklā
ḳhushī se ho ga.e bad-ḳhvāh mere shādī-e-marg
kafan pahan ke jo maiñ ghar se nā-gahāñ niklā
ajal se baḌh ke muhāfiz nahīñ koī apnā
ḳhudā kī shaan ki dushman nigāh-bāñ niklā
dikhāyā gor-e-sikandar ne baḌh ke ā.īna
jo sar uThā ke koī zer-e-āsmāñ niklā
lahad se baḌh ke nahīñ koī gosha-e-rāhat
qayāmat aa.ī jo is ghar se mehmāñ niklā
ab apnī ruuh hai aur sair-e-ālam-e-bālā
kueñ se yūsuf-e-gum-karda-kārvāñ niklā
kalām-e-'yās' se duniyā meñ phir ik aag lagī
ye kaun hazrat-e-'ātish' kā ham-zabāñ niklā
Top Urdushayar.com