har ik dil yahāñ hai mohabbat se aarī
tumhīñ ko mubārak ye duniyā tumhārī
unheñ ham se baḌh ke hai ġhairoñ kī parvā
nibāheñge kab tak hamīñ vaz.a-dārī
rahā hai yahāñ par na koī rahegā
jo hai aaj us kī to kal apnī baarī
abhī tak na badlī mohabbat kī qismat
abhī tak mohabbat meñ hai be-qarārī
qadam-ranja farmā rahe haiñ vo āḳhir
ḳhabar lā rahī hai ye bād-e-bahārī
qasam hai ye tum ko na aañsū bahānā
kabhī yaad aa.e jo tum ko hamārī
na badlā na badlā hasīnoñ kā sheva
vahī tīr-o-nashtar vahī dil-figārī
huuñ mamnūn-e-ehsāñ ḳhudā jāntā hai
hai shāmil tabī.at meñ bhī sharmsārī
tire 'soz' kī yuuñ basar ho rahī hai
na ġhairoñ se matlab na apnoñ se yaarī