silsila chhiḌ gayā jab 'yās' ke afsāne kā
sham.a gul ho ga.ī dil bujh gayā parvāne kā
ishq se dil ko milā ā.ina-ḳhāne kā sharaf
jagmagā uTThā kañval apne siyah-ḳhāne kā
ḳhalvat-e-nāz kujā aur kujā ahl-e-havas
zor kyā chal sake fānūs se parvāne kā
laash kam-baḳht kī ka.abe meñ koī phikvā de
kūcha-e-yār meñ kyuuñ Dher ho parvāne kā
vaa.e hasrat ki ta.alluq na huā dil ko kahīñ
na to ka.abe kā huā maiñ na sanam-ḳhāne kā
tishna-lab saath chale shauq meñ saa.e kī tarah
ruḳh kiyā abr-e-bahārī ne jo mai-ḳhāne kā
vaah kis naaz se aatā hai tirā daur-e-shabāb
jis tarah daur chale bazm meñ paimāne kā
ahl-e-dil mast hue phail ga.ī bū-e-vafā
pairahan chaak huā jab tire dīvāne kā
sar-e-shorīda kujā ishq kī begār kujā
magar allāh re dil aap ke dīvāne kā
dekh kar aa.ine meñ chāk-e-garebāñ kī bahār
aur bigḌā hai mizāj aap ke dīvāne kā
kyā ajab hai jo hasīnoñ kī nazar lag jaa.e
ḳhuun halkā hai bahut aap ke dīvāne kā
aap ab sham-e-sahar baḌh ke gale miltī hai
baḳht jaagā hai baḌī der meñ parvāne kā
dil-e-be-hausla taktā hai ḳharīdār kī raah
koī gāhak nahīñ TuuTe hue paimāne kā
bazm meñ sub.h huī chhā gayā ik sannāTā
silsila chhiḌ gayā jab aap ke afsāne kā