gar yaad meñ saaqī kī sāġhar nazar aa jaa.e
paimāna-e-dil chhalke muñh ko jigar aa jaa.e
aks-e-ruḳh saaqī ko gar dekh luuñ sāġhar meñ
kuchh dil ke bahalne kī sūrat nazar aa jaa.e
tayyār raho har-dam marne pe kamar bāñdhe
dar-pesh-e-ḳhudā jaane kab ye safar aa jaa.e
haañ sair tū kar ġhāfil us gor-e-ġharībāñ kī
anjām tujhe apnā shāyad nazar aa jaa.e
phir jaa.eñ hamesha ko duniyā se mirī āñkheñ
marte dam agar jalva terā nazar aa jaa.e
shor-e-nafas-e-bulbul se hosh uḌeñ sab ke
gar zamzama-sanjī par ye musht-e-par aa jaa.e
bīmār-e-mohabbat kī ab hai ye duā har-dam
phir shaam na ho jis kī aisī sahar aa jaa.e
behtar hai ḳham-o-sāġhar āñkhoñ se raheñ ojhal
aisā na ho shīshe par dil TuuT kar aa jaa.e
'yās' aap kī be-jurmī aaḌe nahīñ aa saktī
gar baat par apnī vo bedād-gar aa jaa.e