Yagana Changezi

dil-e-be-tab ko kab wasl ka yara hota

Yagana Changezi

Patna, Bihar, India

1884-1956
dil-e-be-tāb ko kab vasl kā yaarā hotā
shādī-e-daulat-e-dīdār ne maarā hotā
shab-e-ġham zahr hī khāne kā maza thā varna
intizār-e-sahar-e-vasl ne maarā hotā
shab-e-hijrāñ kī balā Taale nahīñ Taltī hai
bhor kar dete agar zor hamārā hotā
aa.ī jis shaan se madfan meñ savārī merī
dekhte ġhair to marnā hī gavārā hotā
kyuuñ na siine se lagī rahtī amānat terī
dāġh-e-dil kyuuñ na hameñ jaan se pyārā hotā
sar jhukā.e tirī ummīd pe baiThe haiñ ham
qātil is baar amānat ko utārā hotā
ek ho jaatī abhī kāfir-o-dīñ-dār kī raah
agar un juTTī bhuvoñ kā ik ishārā hotā
bhīgtī jaatī hai raat aur abhī sohbat hai garm
jaam lab-rez isī aalam meñ hamārā hotā
nigah-e-lutf se mahrūm huuñ ab tak saaqī
saf-e-āḳhir kī taraf bhī ik ishārā hotā
duur se sāġhar-o-mīnā ko khaḌā taktā huuñ
dil koī rakhtā to mujh ko bhī pukārā hotā
duur itnī na kabhī khiñchtī adam kī manzil
kaash kuchh naqsh-e-qadam hī kā sahārā hotā
yaas ab aap kahāñ aur kahāñ bāñg-e-jaras
kaun is vādī-e-ġhurbat meñ tumhārā hotā
dekhte rah ga.e 'yās' aap ne achchhā na kiyā
Dūbte vaqt kisī ko to pukārā hotā
sūrat-e-zāhirī ik parda-e-tārīk thī 'yās'
husn-e-ma.anī kā kan-āñkhiyoñ se nazāra hotā
Top Urdushayar.com