zamāna ḳhudā ko ḳhudā jāntā hai
yahī jāntā hai to kyā jāntā hai
isī meñ dil apnā bhalā jāntā hai
ki ik nāḳhudā ko ḳhudā jāntā hai
vo kyuuñ sar khapā.e tirī justujū meñ
jo anjām-e-fikr-e-rasā jāntā hai
ḳhudā aise bande se kyuuñ phir na jaa.e
jo baiThā duā māñgnā jāntā hai
zahe sahv-e-kātib ki saarā zamāna
mujhī ko sarāpā ḳhatā jāntā hai
anokhā gunahgār ye saada insāñ
navishte ko apnā kiyā jāntā hai
'yagānā' tū hī jaane apnī haqīqat
tujhe kaun tere sivā jāntā hai