Yagana Changezi

aankh dikhlane laga hai wo fusun-saz mujhe

Yagana Changezi

Patna, Bihar, India

1884-1956
aañkh dikhlāne lagā hai vo fusūñ-sāz mujhe
kahīñ ab ḳhaak na chhanvā.e ye andāz mujhe
kaise hairāñ the tum ā.īne meñ jab aañkh laḌī
aaj tak yaad hai is ishq kā āġhāz mujhe
sāmne aa nahīñ sakte ki hijāb aatā hai
parda-e-dil se sunāte haiñ vo āvāz mujhe
tīliyāñ toḌ ke nikle sab asīrān-e-qafas
magar ab tak na milī ruḳhsat-e-parvāz mujhe
par katar de are sayyād chhurī phernā kyā
maar Dālegī yūñhī hasrat-e-parvāz mujhe
zer-e-dīvār-e-sanam qabr meñ sotā huuñ falak
kyuuñ na ho tāla-e-bedār par ab naaz mujhe
be-dhaḌak aa.e na zindāñ meñ nasīm-e-vahshat
mast kar detī hai zanjīr kī āvāz mujhe
parda-e-hijr vahī hasti-e-mauhūm thī 'yās'
sach hai pahle nahīñ mālūm thā ye raaz mujhe
Top Urdushayar.com