Yagana Changezi

aap se aap ayan shahid-e-mani hoga

Yagana Changezi

Patna, Bihar, India

1884-1956
aap se aap ayaañ shāhid-e-ma.anī hogā
ek din gardish-e-aflāk se ye bhī hogā
āñkheñ banvā.iye pahle zarā ai hazrat-e-qais
kyā inhīñ āñkhoñ se nazzāra-e-lailī hogā
shauq meñ dāman-e-yūsuf ke uḌeñge TukḌe
dast-e-gustāḳh se kyā duur hai ye bhī hogā
lākhoñ is husn pe mar jā.eñge dekhā-dekhī
koī ġhash hogā koī mahv-e-tajallī hogā
husn-e-zātī bhī chhupā.e se kahīñ chhuptā hai
saat pardoñ se ayaañ shāhid-e-ma.anī hogā
hosh uḌeñge jo zamāne kī havā bigḌegī
chaar hī din meñ ḳhizāñ gulshan-e-hastī hogā
aur umDegā dil-e-zār jahāñ tak chheḌo
ye bhī kyā koī ḳhazāna hai ki ḳhālī hogā
dil dhaḌakne lagā phir sub.h-e-judā.ī aa.ī
phir vahī dard vahī pahlu-e-ḳhālī hogā
ye to farmā.iye kyā ham meñ rahegā baaqī
dil agar dard-e-mohabbat se bhī ḳhālī hogā
ek chullū se bhī kyā 'yās' rahoge mahrūm
bazm-e-mai hai to koī sāhab-e-dil bhī hogā
Top Urdushayar.com