tasavvurāt kī duniyā sajā.e baiThe haiñ
kisī kī aas ko dil se lagā.e baiThe haiñ
fareb umr do roza kā khaa.e baiThe haiñ
batā.eñ kyā ki jo sadma uThā.e baiThe haiñ
na jaane kis ghaḌī aa jaa.eñ DhūñDte ham ko
charāġh din meñ bhī dar par jalā.e baiThe haiñ
sunā hai jab se duā.eñ qubūl hotī haiñ
duā ko haath ham apne uThā.e baiThe haiñ
vo aa rahe haiñ koī kah rahā hai kānoñ meñ
charāġh diid kā ham to bujhā.e baiThe haiñ
na pūchh kaise shab-e-intizār guzrī hai
na chheḌ ham ko sabā ham satā.e baiThe haiñ
ḳhabar kahāñ hai zamāne kī 'soz' ham us ko
kisī ke ishq meñ ḳhud ko bhulā.e baiThe haiñ