duniyā kā chalan tark kiyā bhī nahīñ jaatā
is jāda-e-bātil se phirā bhī nahīñ jaatā
zindān-e-musībat se koī nikle to kyūñkar
rusvā sar-e-bāzār huā bhī nahīñ jaatā
dil bād-e-fanā bhī hai girāñ-bār-e-amānat
duniyā se subuk-dosh uThā bhī nahīñ jaatā
kyuuñ aane lage shāhid-e-ismat sar-e-bāzār
kyā ḳhaak ke parde meñ chhupā bhī nahīñ jaatā
ik ma.ani-e-be-lafz hai andesha-e-fardā
jaise ḳhat-e-qismat ki paḌhā bhī nahīñ jaatā