Yagana Changezi

aap mein kyunkar rahe koi ye saman dekh kar

Yagana Changezi

Patna, Bihar, India

1884-1956

aap meñ kyūñkar rahe koī ye sāmāñ dekh kar

sham-e-ismat ko bharī mahfil meñ uryāñ dekh kar

dil ko bahlāte ho kyā kyā ārzū-e-ḳhām se

amr-e-nā-mumkin meñ goyā rañg-e-imkāñ dekh kar

kyā ajab hai bhuul jaa.eñ ahl-e-dil apnā bhī dard

husn-e-mastāna ko āḳhir meñ pashīmāñ dekh kar

DhūñDte phirte ho ab TuuTe hue dil meñ panāh

dard se ḳhālī dil-e-gabr-o-musalmāñ dekh kar

dil jalā kar vādi-e-ġhurbat ko raushan kar chale

ḳhuub sūjhī jalva-e-shām-e-ġharībāñ dekh kar

imtiyāz-e-sūrat-o-ma.anī se begāna huā

aa.ine ko aa.ina hairāñ ko hairāñ dekh kar

pairahan meñ kyā samā saktā habāb-e-jāñ-ba-lab

hasti-e-mauhūm ḳhvāb-e-pareshāñ dekh kar

sabr karnā saḳht mushkil hai taḌapnā sahl hai

apne bas kaam kar letā huuñ āsāñ dekh kar

aur kyā hotī 'yagānā' dard-e-isyāñ davā

kyā ġhazal yaad aa.ī vallāh fard-e-isyāñ dekh kar

Top Urdushayar.com