jab husn-e-be-misāl par itnā ġhurūr thā
ā.īna dekhnā tumheñ phir kyā zarūr thā
chhup-chhup ke ġhair tak tumheñ jaanā zarūr thā
thā pīchhe pīchhe maiñ bhī magar duur duur thā
mulk-e-adam kī raah thī mushkil se tai huī
manzil tak aate aate badan chūr-chūr thā
do ghūñT bhī na pī sake aur aañkh khul ga.ī
phir bazm-e-aish thī na vo jām-e-surūr thā
vaa.iz kī āñkheñ khul ga.iiñ piite hī sāqiyā
ye jām-e-mai thā yā koī dariyā-e-nūr thā
kyuuñ baiThe haath malte ho ab 'yās' kyā huā
is bevafā shabāb par itnā ġhurūr thā