Yagana Changezi

ghazab ki dhum shabistan-e-rozgar mein hai

Yagana Changezi

Patna, Bihar, India

1884-1956
ġhazab kī dhuum shabistān-e-rozgār meñ hai
kashish balā kī tamāshā-e-nāgavār meñ hai
dikhā.ī aaj hī āñkhoñ ne sūrat-e-fardā
ḳhizāñ kī sair bhī hañgāma-e-bahār meñ hai
ġhubār ban ke lipaTtī hai dāman-e-dil se
miTe pe bhī vahī dil-bastagī bahār meñ hai
duā-e-shauq kujā ek haath hai dil par
aur ek haath garebān-e-tār-tār meñ hai
hanūz gosh-bar-āvāz ġhair hai koī
umīd-vār-e-azal ab tak intizār meñ hai
qasam hai vāda-e-sabr-āzmā-e-jānāñ kī
ki lazzat-e-abadī hai to intizār meñ hai
davā meñ aur duā meñ to ab asar ma.alūm
bas ik umīd-e-asar zabt-e-nāgavār meñ hai
chale-chalo dil-e-dīvāna ke ishāre par
muhāl-o-mumkin to sab us ke iḳhtiyār meñ hai
Top Urdushayar.com