kār-gāh-e-duniyā kī nestī bhī hastī hai
ik taraf ujaḌtī hai ek samt bastī hai
be-diloñ kī hastī kyā jiite haiñ na marte haiñ
ḳhvāb hai na bedārī hosh hai na mastī hai
kyā batā.ūñ kyā huuñ maiñ qudrat-e-ḳhudā huuñ maiñ
merī ḳhud-parastī bhī ain haq-parastī hai
kīmiyā-e-dil kyā hai ḳhaak hai magar kaisī
lījiye to mahñgī hai bechiye to sastī hai
ḳhizr-e-manzil apnā huuñ apnī raah chaltā huuñ
mere haal par duniyā kyā samajh ke hañstī hai
kyā kahūñ safar apnā ḳhatm kyuuñ nahīñ hotā
fikr kī bulandī yā hausle kī pastī hai
husn-e-be-tamāshā kī dhuum kyā muammā hai
kaan bhī haiñ nā-mahram aañkh bhī tarastī hai
chitvanoñ se miltā hai kuchh surāġh bātin kā
chaal se to kāfir par sādgī barastī hai
tark-e-lazzat-e-duniyā kījiye to kis dil se
zauq-e-pārsā.ī kyā faiz-e-tañg-dastī hai
dīdanī hai 'yās' apne ranj o ġham kī tuġhyānī
jhuum jhuum kar kyā kyā ye ghaTā barastī hai