Yagana Changezi

qafas ko jaante hain yas aashiyan apna

Yagana Changezi

Patna, Bihar, India

1884-1956
qafas ko jānte haiñ 'yās' āshiyāñ apnā
makān apnā zamīn apnī āsmāñ apnā
havā-e-tund meñ Thahrā na āshiyāñ apnā
charāġh jal na sakā zer-e-āsmāñ apnā
sunā hai rañg zamāna kā e'tibār nahīñ
badal na jaa.e yaqīñ se kahīñ gumāñ apnā
bas ek sāya-e-dīvār-e-yār kyā kam hai
uThā le sar se mire saaya āsmāñ apnā
maze ke saath hoñ andoh-o-ġham to kyā kahnā
yaqīñ na ho to kare koī imtihāñ apnā
sharīk-e-hāl huā hai jo faqr-o-fāqa meñ
gaḌhegā saath hī kyā apne mehmāñ apnā
ajiib bhūl-bhulayyāñ hai manzil-e-hastī
bhaTaktā-phirtā hai gum-gashta kārvāñ apnā
kidhar se aatī hai yūsuf kī bū-e-mastāna
ḳharāb phirtā hai jañgal meñ kārvāñ apnā
jaras ne muzhda-e-manzil sunā ke chauñkāyā
nikal chalā thā dabe paañv kārvāñ apnā
ḳhudā kisī ko bhī ye ḳhvāb-e-bad na dikhlā.e
qafas ke sāmne jaltā hai āshiyāñ apnā
hamāre qatl kā va.ada hai ġhair ke hāthoñ
ajiib shart pe Thahrā hai imtihāñ apnā
hamārā rañg-e-suḳhan 'yās' koī kyā jaane
sivā.e 'ātish' huā kaun ham-zabāñ apnā
Top Urdushayar.com