un ko dekhā to tabī.at meñ ravānī aa.ī
dil ke ujḌe hue gulshan pe javānī aa.ī
pyaas kyā us kī bujhā.eñge koī āriz-o-lab
lab-e-dariyā na jise pyaas bujhānī aa.ī
garmī-e-ranj-o-alam hī meñ basar kī ham ne
zindagī meñ to koī rut na suhānī aa.ī
us kā unvān tirā naam hī rakkhā ham ne
bhūlī-bisrī jo koī yaad kahānī aa.ī
ham mohabbat kā bhī mīnār banā sakte the
ham ko nafrat kī na dīvār girānī aa.ī
dekh kar us gul-e-shādāb ko ik mahfil meñ
ba.ad muddat ke phir ik yaad purānī aa.ī
aarzū dil ko thī ai 'soz' ġhazal-ḳhvānī kī
raas aa.ī to hameñ marsiya-ḳhvānī aa.ī