Yagana Changezi

yar ki taswir hi dikhla de ai mani mujhe

Yagana Changezi

Patna, Bihar, India

1884-1956
yaar kī tasvīr hī dikhlā de ai maanī mujhe
kuchh to ho is naza.a kī mushkil meñ āsānī mujhe
uf bhī kar saktā nahīñ ab karvaTeñ lenā kujā
zaḳhm-e-pahlū se hai vo taklīf-e-rūhānī mujhe
zāhid-e-maġhrūr rone par mire hañstā hai kyā
baḳhshvā.egā yahī ashk-e-pashemānī mujhe
dil ko us parda-nashīñ se ġhā.ebāna laag hai
khīñch legā ik-na-ik din jazb-e-rūhānī mujhe
yārab āġhāz-e-mohabbat kā ba-ḳhair anjām ho
dil lagā kar ho rahī hai kyā pashemānī mujhe
lau lagī hai yaar se apnī taraf khīñgā kyā
jalva-e-naqsh-o-nigār-e-ālam-e-fānī mujhe
vahshiyoñ ke vāste qaid-e-libās achchhī nahīñ
zeb detā hai yahī tashrīf-e-uryānī mujhe
josh-e-vahshat meñ zamīñ par paañv paḌhne kā nahīñ
le uḌegī nik.hat-e-gul kī pareshānī mujhe
ḳhaak ho jaane pe bhī mumkin na hogā dastaras
haath malvā.egī terī pāk-dāmānī mujhe
dard kā sāġhar bhī saaqī merī qismat meñ na thā
shauq meñ karnā paḌā āḳhir lahū paanī mujhe
mard-e-jāhil huuñ kujā meñ aur kujā ahl-e-kamāl
'yās' kyā ma.alūm andāz-e-ġhazal-ḳhvānī mujhe
Top Urdushayar.com