Yagana Changezi

dard-e-dil roen kis ummid pe begane se

Yagana Changezi

Patna, Bihar, India

1884-1956
dard-e-dil ro.eñ kis ummīd pe begāne se
sub.h hone kī nahīñ yaas is afsāne se
koī itnā bhī nahīñ aap se ġhībat hī kare
kāñTe paḌte haiñ zabāñ meñ mire afsāne se
dast-e-gustāḳh se mumkin nahīñ ārā.ish-e-husn
gesū-e-yār sañvarne ke nahīñ shāne se
dāman-e-bād-e-bahārī hai garebāñ pe nisār
aatī hai bū-e-mohabbat tire dīvāne se
phir vahī kūcha vahī dar vahī saudā vahī sar
khīñch laayā hai ye dil phir mujhe vīrāne se
aaj hī chhūTe jo kal chhuTtā ho ye dair-e-ḳharāb
vahshat-ābād-e-jahāñ kam nahīñ vīrāne se
havas-e-ālam-e-bālā ne kiyā hai dil tañg
ruuh ghabrā ga.ī ab jism ke kāshāne se
apnī parchhā.īñ se dīvānoñ ko nafrat hī rahī
jīte-jī nikle na zindāñ ke siyah-ḳhāne se
husn-e-ma.anī ke jo shaidā haiñ udhar kyā dekheñ
sūrat-e-ābād jahāñ kam nahīñ vīrāne se
jān-e-man ma.arifat us husn kī āsān nahīñ
daad kyā chāhte ho tum kisī begāne se
kaifiyyat se kabhī ḳhālī nahīñ dil mastoñ kā
hū-ba-hū miltā hai saaqī tire paimāne se
sāqiyā dil kī havas miT na sakī piirī meñ
pyaas bujhtī nahīñ TuuTe hue paimāne se
aag meñ kuud paḌā dil kī lagī vo shai hai
ātish-e-shauq ko pūchhe koī parvāne se
aur parde kī mulāqāt karegī andher
sham.a kyuuñ chhuptī hai fānūs meñ parvāne se
nāsehā hai koī aisā ki sambhāle mujh ko
laḌ ga.ī aañkh mirī phir kisī mastāne se
duur se dekhne ke 'yās' gunahgār haiñ bas
āshnā tak na hue lab kabhī paimāne se
jaam labrez huā hai kisī mahjūr kā aaj
bū-e-ḳhūñ aatī hai saaqī tire paimāne se
pahle sargoshiyāñ thiiñ chhā gayā ab sannāTā
bazm meñ sub.h huī 'yās' ke afsāne se
masnad-e-ātish-e-maġhfūr mubārak ho 'yās'
aa.e sannāTe meñ 'ġhālib' tire afsāne se
Top Urdushayar.com