Yagana Changezi

dil ajab jalwa-e-ummid dikhata hai mujhe

Yagana Changezi

Patna, Bihar, India

1884-1956
dil ajab jalva-e-ummīd dikhātā hai mujhe
shaam se 'yās' saverā nazar aatā hai mujhe
jalva-e-dār-o-rasan apne nasīboñ meñ kahāñ
kaun duniyā kī nigāhoñ pe chaḌhātā hai mujhe
dil ko lahrātā hai hañgāma-e-znidān-e-balā
shor-e-īzā-talabī vajd meñ laatā hai mujhe
pā-e-āzād hai zindāñ ke chalan se bāhar
beḌiyāñ kyuuñ koī dīvāna pahnātā hai mujhe
hañs ke kahtā hai ki ghar apnā qafas ko samjho
sabaq ulTā mirā sayyād paḌhātā hai mujhe
jaise dozaḳh kī havā khā ke abhī aayā hai
kis qadar vā.iz-e-makkār Darātā hai mujhe
phaT paḌeñ ab hī dar-o-bām to parda rah jaa.e
falak-e-ḳhāna-ḳharāb aañkh dikhātā hai mujhe
dīdanī hai chaman-ārā.ī-e-chashm-e-ibrat
sair-e-tāza gul-e-pazhmurda dikhātā hai mujhe
tark-e-matlab se hai matlab to duā.eñ kaisī
sub.h tak kyuuñ dil-e-bīmār jagātā hai mujhe
nañg-e-mahfil mirā zinda mirā murda bhārī
kaun uThātā hai mujhe kaun biThātā hai mujhe
lab-e-dariyā kā huā maiñ na tah-e-dariyā kā
kaun se ghaaT ye dhārā liye jaatā hai mujhe
paañv so.e haiñ magar jāgte haiñ apne nasīb
kyā samajh kar jaras-e-guñg jagātā hai mujhe
'yās' manzil hai mirī manzil-e-anqā-e-kamāl
lucknow meñ koī kyuuñ DhūñDne aatā hai mujhe
Top Urdushayar.com