kaisī kaisī bastiyāñ do din meñ vīrāñ ho ga.iiñ
dekhte hī dekhte gard-e-pareshāñ ho ga.iiñ
shaġhl-e-mai kab tak ye saaqī āñkheñ jhuk aa.eñ bahut
raat bhīgī aur zulfeñ bhī pareshāñ ho ga.iiñ
phirtī haiñ āñkhoñ meñ saaqī shab kī vo kaifiyyateñ
dekhte hī dekhte ḳhvāb-e-pareshāñ ho ga.iiñ
tāqat-e-majnūñ kujā nazzāra-e-lailī kujā
parda-e-mahmil uThā aur āñkheñ hairāñ ho ga.iiñ
arsa-e-qaid-e-hayāt ab vahshiyoñ par tañg hai
chaar dīvār-e-anāsir mil ke zindāñ ho ga.iiñ
raas aa.ī hai na aa.egī zamāne kī havā
'yās' kyā kyā sohbateñ gard-e-pareshāñ ho ga.iiñ