Yagana Changezi

yaksan kabhi kisi ki na guzri zamane mein

Yagana Changezi

Patna, Bihar, India

1884-1956
yaksāñ kabhī kisī kī na guzrī zamāne meñ
yādash-ba-ḳhair baiThe the kal āshiyāne meñ
sadme diye to sabr kī daulat bhī degā vo
kis chiiz kī kamī hai saḳhī ke ḳhazāne meñ
ġhurbat kī maut bhī sabab-e-zikr-e-ḳhair hai
gar ham nahīñ to naam rahegā zamāne meñ
dam bhar meñ ab marīz kā qissa tamām hai
kyūñkar kahūñ ye raat kaTegī fasāne meñ
saaqī maiñ dekhtā huuñ zamīñ āsmāñ kā farq
arsh-e-barīñ meñ aur tire āstāne meñ
dīvāreñ phāñd-phāñd ke dīvāne chal base
ḳhaak uḌ rahī hai chaar taraf qaid-ḳhāne meñ
sayyād is asīrī pe sau jaañ se maiñ fidā
dil-bastagī qafas kī kahāñ āshiyāne meñ
ham aise bad-nasīb ki ab tak na mar ga.e
āñkhoñ ke aage aag lagī āshiyāne meñ
dīvāne ban ke un ke gale se lipaT bhī jaao
kaam apnā kar lo 'yās' bahāne-bahāne meñ
Top Urdushayar.com