Jamal Panipati

be-faiz ajab nikli ye fasl-e-tamanna bhi

Jamal Panipati

Panipat, Haryana, India

1927-2005
be-faiz ajab niklī ye fasl-e-tamannā bhī
phūTī nahīñ koñpal bhī chaTkā nahīñ ġhuncha bhī
kyā ho gayā gulshan ko sākit hai fazā kaisī
sab shāḳh o shajar chup haiñ hiltā nahīñ pattā bhī
lau jis se lagā.ī thī vo aas bhī maddham hai
dil jis se charāġhāñ thā bujhtā hai vo sho.ala bhī
is ishq meñ kyā khoyā is dard se kyā paayā
tum ne nahīñ pūchhā bhī ham ne nahīñ sochā bhī
āñgan hī meñ ab dil ke ham ḳhaak uḌāte haiñ
ghar hī meñ nikal aa.ī gunjā.ish-e-sahrā bhī
andhoñ ke liye ro.uuñ bahroñ ke liye gā.ūñ
hai zauq-e-navā mujh ko lekin nahīñ itnā bhī
Top Urdushayar.com