milte julte haiñ yahāñ log zarūrat ke liye
ham tire shahr meñ aa.e haiñ mohabbat ke liye
vo bhī āḳhir tirī tārīf meñ hī ḳharch huā
maiñ ne jo vaqt nikālā thā shikāyat ke liye
maiñ sitāra huuñ magar tez nahīñ chamkūñgā
dekhne vaale kī āñkhoñ kī suhūlat ke liye
sar jhukā.e hue ḳhāmosh jo tum baiThe ho
itnā kaafī hai mire dost nadāmat ke liye
vo bhī din aa.e ki dahlīz pe aa kar 'az.har'
paañv rukte haiñ mire terī ijāzat ke liye