kis qadar mahdūd kar detā hai ġham insān ko
ḳhatm kar detā hai har ummīd har imkān ko
giit gaatā bhī nahīñ ghar ko sajātā bhī nahīñ
aur badaltā bhī nahīñ vo saaz ko sāmān ko
itne barsoñ kī riyāzat se jo qaa.em ho sakā
aap se ḳhatra bahut hai mere is īmān ko
koī ruktā hī nahīñ is kī tasallī ke liye
dekhtā rahtā hai dil har ajnabī mehmān ko
ab to ye shāyad kisī bhī kaam aa saktā nahīñ
aap hī le jā.iye mere dil-e-nādān ko
shahr vāloñ ko to jaise kuchh patā chaltā nahīñ
roktā rahtā hai sāhil roz-o-shab tūfān ko