Zeeshan Sahil

yun boli thi chiDiya Khaali kamre mein

Zeeshan Sahil

Hyderabad, Sindh, Pakistan

1961-2008
yuuñ bolī thī chiḌiyā ḳhālī kamre meñ
jaise koī nahīñ thā ḳhālī kamre meñ
har pal merā rasta dekhā kartā hai
jaane kis kā saaya ḳhālī kamre meñ
khiḌkī ke raste se laayā kartā huuñ
maiñ bāhar kī duniyā ḳhālī kamre meñ
har mausam meñ aate jaate rahte haiñ
log havā aur dariyā ḳhālī kamre meñ
chehroñ ke jañgal se le kar aayā huuñ
surḳh gulāb kā paudā ḳhālī kamre meñ
bastī meñ har raat nikalne vaalā chāñd
umr huī na utrā ḳhālī kamre meñ
tez havā meñ saare kuuze TuuT ga.e
aur phailā ik sahrā ḳhālī kamre meñ
'sāhil' shahr se duur akelā rahtā hai
jaise maiñ huuñ rahtā ḳhālī kamre meñ
Top Urdushayar.com