maiñ us kī anjuman meñ akelā nahīñ gayā
jo maiñ gayā to phir koī tanhā nahīñ gayā
maiñ chāhtā thā us kī nigāhoñ se khelnā
lekin zarā sī der bhī khelā nahīñ gayā
mumkin nahīñ thā husn o nazar kā muvāzana
mujh se to us ko Thiik se dekhā nahīñ gayā
tahvīl meñ kisī kī pahuñch ke hai ḳhush vo dil
jis ko kisī maqām par rakkhā nahīñ gayā
donoñ taraf thī ek shikāyat likhī huī
chāhā kabhī gayā kabhī chāhā nahīñ gayā