Zeeshan Sahil

phulon ki anjuman mein bahut der tak raha

Zeeshan Sahil

Hyderabad, Sindh, Pakistan

1961-2008
phūloñ kī anjuman meñ bahut der tak rahā
koī mire chaman meñ bahut der tak rahā
aayā thā mere paas vo kuchh der ke liye
sūraj magar gahan meñ bahut der tak rahā
maiñ roktā rahā use chālākiyoñ ke saath
vo apne bhole-pan meñ bahut der tak rahā
jo shah milī to dil mirā bebāk ho gayā
nairañgī-e-badan meñ bahut der tak rahā
āñkhoñ meñ aa gayā hai mirī bhī zarā sā daaġh
phuul us ke pairahan meñ bahut der tak rahā
aayā nahīñ hai khīñch ke laanā paḌā mujhe
dil yaar ke vatan meñ bahut der tak rahā
us ke baġhair jaise jahannam hai zindagī
maiñ jannat-e-adn meñ bahut der tak rahā
donoñ se saath saath mulāqāt ho ga.ī
kuchh sarv kuchh saman meñ bahut der tak rahā
Top Urdushayar.com