aisā lagtā hai jaise puurī hai
ye kahānī magar adhūrī hai
hijr to ḳhair us kā lāzim thā
vasl bhī ab bahut zarūrī hai
merī āñkhoñ ke jurm meñ shāmil
un nigāhoñ kī be-qusūrī hai
mere alfāz ho rahe haiñ ḳharch
qaum kī muft meñ mash.hūrī hai
yuuñ mirā tāj-o-taḳht chhīn liyā
jaise vo sher-shah-sūrī hai
in dinoñ us ke sāmne dil kī
jī-huzūrī hī jī-huzūrī hai
kis qadar shoḳh kar diyā mujh ko
ishq miTThū-miyāñ kī chūrī hai