jo mere bas meñ hai us se ziyāda kyā karnā
safar to karnā hai us kā irāda kyā karnā
bas ek rañg hai dil meñ kisī ke hone se
ab apne-āp ko is se bhī saada kyā karnā
jab apnī aag hī kaafī hai mere jiine ko
to mahr o maah se bhī istifāda kyā karnā
tire laboñ ke sivā kuchh nahīñ mayassar jab
so fikr-e-sāġhar-o-sāqī-o-bāda kyā karnā
tamām kashtiyāñ sāhil pe haiñ abhī Thahrī
abhī se in ko jalāne kā va.ada kyā karnā