koī qusūr nahīñ merī ḳhush-gumānī kā
asar hai ye tirī āñkhoñ kī be-zabānī kā
kisī ne merī mohabbat ko kar liyā mahfūz
ḳhayāl aayā kisī ko to pāsbānī kā
barā.e naam sā pul bhī nahīñ banā mujh se
ki kuchh ilaaj nahīñ thā tirī ravānī kā
hamāre dil kā alamnāk daur hai shāyad
samajh rahe haiñ jise khel sab javānī kā
vo dāstān mukammal kare to achchhā hai
mujhe milā hai zarā sā sirā kahānī kā