dil muztarib hai aur pareshān jism hai
us ke baġhair be-sar-o-sāmān jism hai
ab ho nahīñ sakegā mudāvā kisī tarah
vo jo kahīñ nahīñ hai to be-jān jism hai
dil to junūñ ke khel meñ masrūf hai magar
us kī navāzishāt pe hairān jism hai
maiñ ne banā diyā hai jise ishq meñ ġhazal
dil us kā hai bayāz to dīvān jism hai
ab us ke ġham se mujh ko milegī kahāñ najāt
dil pāsbāñ hai aur nigahbān jism hai