yaad karne ke zamāne se bahut aage haiñ
aaj ham apne Thikāne se bahut aage haiñ
koī aa ke hameñ DhūñDegā to kho jā.egā
ham na.e ġham meñ purāne se bahut aage haiñ
jism baaqī hai magar jaañ ko miTāne vaale
ruuh meñ zaḳhm nishāne se bahut aage haiñ
is qadar ḳhush haiñ ki ham ḳhvāb-e-farāmoshī meñ
jaag jaane ke bahāne se bahut aage haiñ
jo hameñ pā ke bhī khone se bahut pīchhe thā
ham use kho ke bhī paane se bahut aage haiñ