kuchh hai ḳhabar farishtoñ ke jalte haiñ par kahāñ
jaatī hai be-adab nigah-e-parda-dar kahāñ
ye sham-o-anjuman ye mai-o-jām ye bahār
mehmān raat bhar ke haiñ vaqt-e-sahar kahāñ
nazzāra-e-jamāl hai go jān-e-zindagī
vārafta-e-jamāl ko fursat magar kahāñ
dil arsh-gāh-e-husn hai dil jalva-gāh-e-nāz
ye aap hī kā ghar hai hamārī guzar kahāñ
hai vaqt-e-naz.a aur ġham-e-ishq duur duur
jaatā hai saath chhoḌ ke ye ham-safar kahāñ
is be-ḳhudī-e-shauq meñ 'abrār' kis ko hosh
manzil kahāñ hai maiñ huuñ kahāñ rāhbar kahāñ