na pūchho jaan par kyā kuchh guzartī hai ġham-e-dil se
qarār aanā kahāñ kā saañs bhī aatī hai mushkil se
ba-har-sūrat safīna Duub jaatā hai mohabbat kā
kabhī Takrā ke tūfāñ se kabhī Takrā ke sāhil se
ise kahte haiñ mahrūmī use kahte haiñ nākāmī
sar-e-manzil pahuñch kar bhī huuñ ab tak duur manzil se
dil-e-betāb paatā hai sukūñ kab josh-e-ulfat meñ
ye dariyā maujzan ho ho ke Takrātā hai sāhil se
yahāñ tak rafta rafta baḌh gayā ehsās-e-mahrūmī
unheñ dekhā magar tishna-nazar uTThā huuñ mahfil se