Abrar Shahjahanpuri

ilahi kya kabhi pure ye arman ho bhi sakte hain

Abrar Shahjahanpuri

ilāhī kyā kabhī puure ye armāñ ho bhī sakte haiñ
mire kāshāna-e-dil meñ vo mehmāñ ho bhī sakte haiñ
koī sayyād se pūchhe ki o nā-vāqif-e-ulfat
ye dīvāne kahīñ pāband-e-zindāñ ho bhī sakte haiñ
batā ai ḳhizr rāh-e-ishq meñ manzil hai aisī bhī
kahīñ ham vāqif-e-asrār-e-jānāñ ho bhī sakte haiñ
zabān-e-shauq par chhā jā.egā māyūsī-e-paiham
lab-e-ḳhāmosh rūdād-e-dil-o-jāñ ho bhī sakte haiñ
ba-pās-e-ehtirām-e-ishq ham ḳhāmosh haiñ varna
pareshāñ kar bhī sakte haiñ pareshāñ ho bhī sakte haiñ
kabhī ai dīda-e-ḳhūñ-bāz tū ne ye bhī sochā hai
ye tohfe bāryāb-e-bazm-e-jānāñ ho bhī sakte haiñ
nizām-e-zindagī 'abrār' kab tak darham-o-barham
kahīñ yakjā ye aurāq-e-pareshāñ ho bhī sakte haiñ
Top Urdushayar.com