ġharīboñ ko faqat updesh kī ghuTTī pilāte ho
baḌe ārām se tum chain kī bansī bajāte ho
hai mushkil daur sūkhī roTiyāñ bhī duur haiñ ham se
maze se tum kabhī kaajū kabhī kishmish chabāte ho
nazar aatī nahīñ muflis kī āñkhoñ meñ to ḳhush-hālī
kahāñ tum rāt-din jhūThe unheñ sapne dikhāte ho
añdherā kar ke baiThe ho hamārī zindagānī meñ
magar apnī hathelī par nayā sūraj ugāte ho
vyvasthā kashTkārī kyuuñ na ho kirdār aisā hai
ye jantā jāntī hai sab kahāñ tum sar jhukāte ho