Khalid Mahmood Amar

KHud se bhi wo Darta hoga

Khalid Mahmood Amar

ḳhud se bhī vo Dartā hogā
vo bhī mere jaisā hogā
zaḳhm-e-jigar se jo Tapkā hai
us kī aañkh se bahtā hogā
sochoñ meñ aa.e chupke se
nañge paañv chaltā hogā
dar pe dastak dene vaalā
us kī yaad kā jhoñkā hogā
mahak uThā hai merā badan bhī
ḳhushbū meñ vo rahtā hogā
sat.h-e-āb pe ik chehra hai
lahroñ meñ vo rahtā hogā
ab to ḳhvāb jazīroñ meñ vo
yaad ke kañkar chuntā hogā
khoyā khoyā sā ḳhud maiñ hī
logoñ se vo miltā hogā
dekh ke girte pattoñ ko vo
pahroñ baiTh ke rotā hogā
dasht-e-ġham ke sannāTe meñ
vo bhī tanhā tanhā hogā
dil meñ chhupā kar merī yādeñ
pahroñ nazmeñ likhtā hogā
mast havāoñ se hī 'umar' vo
mere naġhme suntā hogā
Top Urdushayar.com