ḳhushbuoñ se mirī har saañs ko bhar detā hai
mausam-e-gul tire aane kī ḳhabar detā hai
mujh se miltā hai magar tez havāoñ kī tarah
har qadam par mujhe jo shauq-e-safar detā hai
bhar ga.ī hai mire dāman ko nadī kī ik mauj
log kahte haiñ samundar hī guhar detā hai
ḳhāmushī mohr lagā detī hai hoñToñ pe mire
is tarah bhī vo rafāqat kā samar detā hai
aur bhī umr baḌhā detā hai merī 'shabnam'
merā suraj mujhe jab sail-e-sharar detā hai