ġham na kar ġham kī siyah raat badal saktī hai
jo bhī ho sūrat-e-hālāt badal saktī hai
va.ada-e-vasl pe maiñ ḳhush to huā huuñ lekin
ye bhī ḳhadsha hai ki vo baat badal saktī hai
maiñ tire naaz uThāne pe razā-mand magar
tū mire vāste ādāt badal saktī hai
maiñ ne maanā mirī vaq.at nahīñ kuchh bhī lekin
tū jo mil jaa.e to auqāt badal saktī hai
maiñ tujhe dil meñ basā luuñ magar itnā to batā
tū ḳhushī meñ mire sadmāt badal saktī hai
is liye bhī maiñ rivāyāt kā qaa.il na huā
ye hai duniyā ye rivāyāt badal saktī hai