jahāñ kahīñ bhī ho terī ḳhushī zarūrī hai
ye kab kahā tirī maujūdgī zarūrī hai
ye mas.ala bhī faqat aadmī ke saath hai dost
ki jo nahīñ hai mayassar vahī zarūrī hai
mohabbatoñ meñ sabhī kuchh nahīñ hai ḳhāmoshī
kabhī kabhār to iz.hār bhī zarūrī hai
maiñ tere baad mukammal na rah sakūñ shāyad
tirā vajūd kuchh is tarah bhī zarūrī hai
ḳhudā pe apnī har ik baat Tālne vaale
ḳhudā se bhī zarā pahle ḳhudī zarūrī hai
guzārne ke liye umr hī bahut hai magar
jo jiinā chāhe use zindagī zarūrī hai